Pages

Sunday 14 July 2013

Aaqa sallellaho alaihi wasallam ka saya nahi tha...

Wahabi kehte hain ke huzur ka saya tha.... aur hawale k taur pe ye quran ki aayat pesh karne hain...

In Arabi::
اَوَ لَمْ یَرَوْا اِلٰی مَا خَلَقَ اللہُ مِنۡ شَیۡءٍ یَّتَفَیَّؤُا ظِلٰلُـہٗ عَنِ الْیَمِیۡنِ وَالشَّمَآئِلِ سُجَّدًا لِّلہِ وَ ہُمْ دٰخِرُوۡنَ ﴿۴۸﴾

In Urdu::
 اور کیا انہوں نے نہ دیکھا کہ جو (ف۱۰۰) چیز اللہ نے بنائی ہے اس کی پرچھائیاں داہنے اور بائیں جھکتی ہیں(ف۱۰۱) اللہ کو سجدہ کرتی اور وہ اس کے حضور ذلیل ہیں
 (ف۱۰۲)
 In Roman Urdu::
Aur kya unho ne na dekha k jo cheej Allah ne banayi hai is ki parchhaiya daye aur baye jhuti hai. Allah ko sajda karti aur wo is k huzoor zalil hai.
{P:14, S-16: Nahal, Aayet: 48}

In Eng::
And have they not observed that whatever Allah has made, their shadows turn right and left prostrating to Allah and they are abased before Allah?

Is Aayet ka jawab::

ye aayet Umoom pe dalalat karti hai, aur umoom se khaas ka isteshna ho sakta hai.
Jaise Quran mein hai, "Har Momin ki meeraas taqseem hogi", jab k hum sab jaante hain k "Anbiya ki meeraas Taqssem nahi hoti", to yaham pe aam momin umoom mein shaamil hain aur Anbiya Khusus mein, aur Anbiya ka is Hukm se Isteshna hai

azi iyaz rehmatullalaihi farmate hai: “Suraj aur chand(ki roshni me) aap sallallahu alaihi wa sallam ke jisme athar ka saya na tha kyunke aap sallallahu alaihi wa sallam sarapa(sar se lekar paon tak) noor the.”
Qazi iyaz, Ash shifa 1:522,Ibne jauzi,al wafa:412, Imam Nasafi, al Madarik 3:135.

Imam Suyuti rehmatullalaihi apni kitab me farmate hai ke: Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ka saya zameen par nahi tha, kyunki Aap sallallahu alaihi wa sallam sarapa noor the, pas jab Aap sallallahu alaihi wa sallam suraj ya chand ki roshni me nikalte to Aap sallallahu alaihi wa sallam ka saya nazar na aata.”
Imam suyuti, Khasais al kubra 1:122.

7 comments:

  1. Mera kisi firqay se taaluq nahi. I am Muslim.
    1) Jalaluddin sayuti ny kaee so saal baad apni kitab main aik taabi ka qol naqal kiya. Aur wo aik tu manqatta ravayat hai. Doosra os
    main aik jhoota ravi hai. 3rd ye k itnaaa bara mojza hadith ki 13 main kitaaboon main kisi sanad k sath mojood he nahi.

    2) Musnad Imam Ahmad bin Hanbal Main aik hadith mojood hai jis main Aap (S.A.W.) Hazrat zainab se 3 mah k liye naraaz ho gayay thay. Aur jab jab 3 mah baad aayay tu Aap (S.A.W.) k saamnay aanay se pehlay hazrat zainab k alfaz hain k main ny kisi mard ka saya apnay kheemay ki taraf aatay huay dekha, aur phir jab saamnay aayay tu Aap (S.A.W.) thay....... Aue aagay hadith chalti hai. Is hadith main b saboot mojood hai saya honay ka.

    3) Aap S.A.W. k baal mojood hain aaj b. Tu un k saaya kyun hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. 2sari bat.. Allah ny hazoor s.a.w.w ko sirajan muneera kaha agr saya mana jaye to es ayyat ki takzeeb hoti hai
      3.. qeyamat k din Allah k saye k ilawa koi saya na ho ga... es sy hum kiya mtlb lain phir Allah ka b saya hai nauzbillah..
      Nahi nahi es ka mtlb hargiz yeh nahi jiss trha es ka mtlb yeh nahi us ka b nahi
      Es ka mtlb yeh hai k noori makhloq ka saya b nori hota jese k soraj ko pani main dekha jaye yah mirror ko light main
      4.. ab jo ap ny hadees chott ki hai wo b galt ilfaz sy ki hai zara dobara parhna hadees agr nihaz waqat ki bat ki jaye to us waqat saya itna nahi hota kisi b admi ka k us main dosara admi yah shaksss a jaye.. baki upar bat bta chuka hun

      Delete
  2. Baal ka saya nazer aa gia hy apko ye nazer nhi aata k drood e Pak perha jaey to wo baal herkat b krty hn.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. Saya hone ki koi scan page hai to de meharbani hogi

    ReplyDelete
  5. Mera kisi firke se taluk nahi magar mughe lagta hai ke nabi s.a.w ka saya tha. Kyunke agar saya na hota to koi kafir na hota kyun aap saw tijarat karte the to kya kisi 1 kafir ne bhi saye ki taraf gor na kia ye itna bara mojza hai. na quraan me hai na bukhari na muslim me aur baaz kehte hai ke nabi saw ke gumbad ka bhi saaya nahi . Ye bhi galat baat hai kyunke gumbad ka bhi saaya hai.

    ReplyDelete